ek hijrat ki aawazon ka
ik hijrat kī āvāzoñ kā
koī bain sune darvāzoñ kā
zakariyyā peḌoñ kī mat sun
ye jañgal hai ḳhamyāzoñ kā
tire sar meñ soz nahīñ pyāre
tū ahl nahīñ mire sāzoñ kā
auroñ ko salāheñ detā hai
koī Dasā huā andāzoñ kā
mirā naḳhra karnā bantā hai
maiñ ġhāzī huuñ tire ġhāzoñ kā
ik reḌhī vaalā munkir hai
tirī topoñ aur jahāzoñ kā
ek hijrat ki aawazon ka
koi bain sune darwazon ka
zakariyya peDon ki mat sun
ye jangal hai KHamyazon ka
tere sar mein soz nahin pyare
tu ahl nahin mere sazon ka
auron ko salahen deta hai
koi Dasa hua andazon ka
mera naKHra karna banta hai
main ghazi hun tere ghazon ka
ek reDhi wala munkir hai
teri topon aur jahazon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.