Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek husn-e-baryab se aage nahin baDhe

Ismail Raaz

ek husn-e-baryab se aage nahin baDhe

Ismail Raaz

MORE BYIsmail Raaz

    ik husn-e-bāryāb se aage nahīñ baḌhe

    ya.anī ham ek ḳhvāb se aage nahīñ baḌhe

    ik shahr-e-be-murād meñ kaaTī tamām umr

    ik ḳhāna-e-ḳharāb se aage nahīñ baḌhe

    tujh ko palaT ke dekhne ke dukh se bachnā thā

    ham log is hisāb se aage nahīñ baḌhe

    aage to baḌh ga.e haiñ tumhāre baġhair bhī

    lekin ham āb-o-tāb se aage nahīñ baḌhe

    ham ne use gulāb diyā aage baḌh ke 'rāz'

    aur phir ham us gulāb se aage nahīñ baḌhe

    ek husn-e-baryab se aage nahin baDhe

    yani hum ek KHwab se aage nahin baDhe

    ek shahr-e-be-murad mein kaTi tamam umr

    ek KHana-e-KHarab se aage nahin baDhe

    tujh ko palaT ke dekhne ke dukh se bachna tha

    hum log is hisab se aage nahin baDhe

    aage to baDh gae hain tumhaare baghair bhi

    lekin hum aab-o-tab se aage nahin baDhe

    hum ne use gulab diya aage baDh ke 'raaz'

    aur phir hum us gulab se aage nahin baDhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now