ek ik ko itab banTte ho
ik ik ko itaab bāñTte ho
kis tarah ke ḳhvāb bāñTte ho
har chehre pe jhurriyāñ likhī haiñ
tum kaisā shabāb bāñTte ho
firdaus tumhāre haath meñ hai
bandoñ ko azaab bāñTte ho
ik ek kalī kā rañg faq hai
ye kaise gulāb bāñTte ho
āñkhoñ meñ to ratjage likhe haiñ
tum samjhe ki ḳhvāb bāñTte ho
ek ek ko itab banTte ho
kis tarah ke KHwab banTte ho
har chehre pe jhurriyan likhi hain
tum kaisa shabab banTte ho
firdaus tumhaare hath mein hai
bandon ko azab banTte ho
ek ek kali ka rang faq hai
ye kaise gulab banTte ho
aankhon mein to ratjage likhe hain
tum samjhe ki KHwab banTte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.