Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek jaisa bartaw ho kaise kachche sach aur jhuT ke sath

Azhar Faragh

ek jaisa bartaw ho kaise kachche sach aur jhuT ke sath

Azhar Faragh

MORE BYAzhar Faragh

    ik jaisā bartāv ho kaise kachche sach aur jhuuT ke saath

    koī qatār meñ lag kar aayā koī parachute ke saath

    us ne bhī kam vaqt lagāyā aaj apnī tayyārī meñ

    maiñ bhī match nahīñ kar paayā tie us ke suiT ke saath

    merā ishq to ḳhair mirī mahrūmī parvarda thā

    kyā mālūm thā vo bhī degā merā itnā TuuT ke saath

    hote hote hogā vasl hamārā paak takalluf se

    pair abhī mānūs nahīñ hai na.e navele boot ke saath

    haar aur jiit key puurī zimmedārī lenī paḌtī hai

    uzr us chālāk se koī kaise khele chhūT ke saath

    ek jaisa bartaw ho kaise kachche sach aur jhuT ke sath

    koi qatar mein lag kar aaya koi parachute ke sath

    us ne bhi kam waqt lagaya aaj apni tayyari mein

    main bhi match nahin kar paya tie us ke suiT ke sath

    mera ishq to KHair meri mahrumi ka parwarda tha

    kya malum tha wo bhi dega mera itna TuT ke sath

    hote hote hoga wasl hamara pak takalluf se

    pair abhi manus nahin hai nae nawele boot ke sath

    haar aur jit key puri zimmedari leni paDti hai

    uzr us chaalak se koi kaise khele chhuT ke sath

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now