ek jhalak apni dikha kar chal diye
ik jhalak apnī dikhā kar chal diye
hans rahā thā maiñ rulā kar chal diye
thā makāñ dil kā mire tārīk thā
sham-e-ulfat kyoñ jalā kar chal diye
kaise puurī hogī un ko kyā ġharaz
aarzū dil meñ basā kar chal diye
kyā isī e.azāz ke qābil thā maiñ
bazm meñ mujh ko biThā kar chal diye
un se ummīd-e-vafā kuchh thī nahīñ
hāl-e-dil apnā sunā kar chal diye
un ko matlab thā 'nadīm' itne hī se
apnā dīvāna banā kar chal diye
ek jhalak apni dikha kar chal diye
hans raha tha main rula kar chal diye
tha makan dil ka mere tarik tha
sham-e-ulfat kyon jala kar chal diye
kaise puri hogi un ko kya gharaz
aarzu dil mein basa kar chal diye
kya isi eazaz ke qabil tha main
bazm mein mujh ko biTha kar chal diye
un se ummid-e-wafa kuchh thi nahin
haal-e-dil apna suna kar chal diye
un ko matlab tha 'nadim' itne hi se
apna diwana bana kar chal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.