ek KHalish ek karb pinhan meri KHakistar mein hai
ik ḳhalish ik karb pinhāñ merī ḳhākistar meñ hai
merā dushman hādisa ye hai ki mere ghar meñ hai
kaun kis ke ashk poñchhe kaun kis kā dukh baTā.e
jo hai vo mahrūmiyoñ ke gumbad-e-be-dar meñ hai
zarb-e-tesha chāhiye aur dast-e-āzar chāhiye
ik jahān-e-ḳhāl-o-ḳhad ḳhvābīda har patthar meñ hai
is zamāne meñ mirī sāda-dilī merā ḳhulūs
ek manzar hai magar be-rabt pas-manzar meñ hai
bech dī 'ḳhāvar' yahāñ yāroñ ne nāmūs-e-vafā
tū bhī pyāre kis bhulāve meñ hai kis chakkar meñ hai
ek KHalish ek karb pinhan meri KHakistar mein hai
mera dushman hadisa ye hai ki mere ghar mein hai
kaun kis ke ashk ponchhe kaun kis ka dukh baTae
jo hai wo mahrumiyon ke gumbad-e-be-dar mein hai
zarb-e-tesha chahiye aur dast-e-azar chahiye
ek jahan-e-KHal-o-KHad KHwabida har patthar mein hai
is zamane mein meri sada-dili mera KHulus
ek manzar hai magar be-rabt pas-manzar mein hai
bech di 'KHawar' yahan yaron ne namus-e-wafa
tu bhi pyare kis bhulawe mein hai kis chakkar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.