ek kiran mehr ki zulmat pe bhaari hogi
ik kiran mehr kī zulmāt pe bhārī hogī
raat un kī hai magar sub.h hamārī hogī
ham-safīrān-e-chaman mil ke pukāreñ to zarā
yahīñ ḳhvābīda kahīñ bād-e-bahārī hogī
is taraf bhī koī ḳhushbū se mahaktā jhoñkā
ai sabā tū ne to vo zulf sañvārī hogī
ye jo miltī hai tire ġham se ġham-e-dahr kī shakl
dil ne tasvīr se tasvīr utārī hogī
bū-e-gul aatī hai miTTī se chaman kī jab tak
ham pe dahshat na ḳhizāñ kī kabhī taarī hogī
ek kiran mehr ki zulmat pe bhaari hogi
raat un ki hai magar subh hamari hogi
ham-safiran-e-chaman mil ke pukaren to zara
yahin KHwabida kahin baad-e-bahaari hogi
is taraf bhi koi KHushbu se mahakta jhonka
ai saba tu ne to wo zulf sanwari hogi
ye jo milti hai tere gham se gham-e-dahr ki shakl
dil ne taswir se taswir utari hogi
bu-e-gul aati hai miTTi se chaman ki jab tak
hum pe dahshat na KHizan ki kabhi tari hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.