ek laDka tha ek laDki thi
ik laḌkā thā ik laḌkī thī
aage allāh kī marzī thī
pahlā phuul khilā thā dil meñ
lahū meñ ḳhushbū dauḌ ga.ī thī
pahlā saañs liyā thā sukh kā
pahlī baar havā ik chalī thī
ab kyā jāneñ lekin pahle
chāñd pe ik buḌhiyā rahtī thī
ye bāzār kahāñ thā pahle
yahāñ to pahle ek galī thī
paanī meñ bijlī kā ghar thā
patthar meñ chingārī chhupī thī
ek laDka tha ek laDki thi
aage allah ki marzi thi
pahla phul khila tha dil mein
lahu mein KHushbu dauD gai thi
pahla sans liya tha sukh ka
pahli bar hawa ek chali thi
ab kya jaanen lekin pahle
chand pe ek buDhiya rahti thi
ye bazar kahan tha pahle
yahan to pahle ek gali thi
pani mein bijli ka ghar tha
patthar mein chingari chhupi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.