ek laDki ke ruKH par kya be-zari hai
ik laḌkī ke ruḳh par kyā be-zārī hai
phūloñ ko bhī khilne meñ dushvārī hai
ishq meñ jab bhī koī shaḳhs ujaḌtā hai
lagtā hai ab aglī merī baarī hai
us se pūchho ḳhvāboñ kā ab kyā hogā
din meñ jis ne mujh par niiñd utārī hai
murshid bas maiñ ḳhud se nafrat kartā huuñ
murshid mujh ko sochne kī bīmārī hai
Duub rahe haiñ log samundar meñ 'ammār'
us ne in āñkhoñ kī naql utārī hai
ek laDki ke ruKH par kya be-zari hai
phulon ko bhi khilne mein dushwari hai
ishq mein jab bhi koi shaKHs ujaDta hai
lagta hai ab agli meri bari hai
us se puchho KHwabon ka ab kya hoga
din mein jis ne mujh par nind utari hai
murshid bas main KHud se nafrat karta hun
murshid mujh ko sochne ki bimari hai
Dub rahe hain log samundar mein 'ammar'
us ne in aankhon ki naql utari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.