ek lahr uThi gham ki dil mein ummid ka daman chhuT gaya
ek lahr uThi gham ki dil mein ummid ka daman chhuT gaya
Kanwal Siyalkoti
MORE BYKanwal Siyalkoti
ik lahr uThī ġham kī dil meñ ummīd kā dāman chhūT gayā
ro ro ke armāñ kahte haiñ dil TuuT gayā dil TuuT gayā
gar naach rahe haiñ mor to kyā kartā hai papīhā shor to kyā
maiñ janm jalī fariyād karūñ mirā pirītam mujh se ruuTh gayā
barbādī-e-dil kā afsāna ham kis se kaheñ aur kaise kaheñ
jab sunñe vaalā koī nahīñ jab dil hī apnā TuuT gayā
zaḳhmoñ pe mire jo hañste haiñ duniyā vaale ġham us kā nahīñ
ai kaash burā ho is dil kā jo bhedī ban kar luuT gayā
ek lahr uThi gham ki dil mein ummid ka daman chhuT gaya
ro ro ke arman kahte hain dil TuT gaya dil TuT gaya
gar nach rahe hain mor to kya karta hai papiha shor to kya
main janm jali fariyaad karun mera piritam mujh se ruTh gaya
barbaadi-e-dil ka afsana hum kis se kahen aur kaise kahen
jab sunne wala koi nahin jab dil hi apna TuT gaya
zaKHmon pe mere jo hanste hain duniya wale gham us ka nahin
ai kash bura ho is dil ka jo bhedi ban kar luT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.