Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mehwar-e-jamal hue ja rahe hain hum

Jaani Lakhnavi

ek mehwar-e-jamal hue ja rahe hain hum

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    ik mehvar-e-jamāl hue rahe haiñ ham

    kyā paikār-e-ḳhayāl hue rahe haiñ ham

    hāsil hue jo ḳhud ko zarā vaqt ke liye

    apne ko bhī muhāl hue rahe haiñ ham

    karne chale the ham tirī duniyā se ik savāl

    duniyā pe ik savāl hue rahe haiñ ham

    har samt se zavāl ne gherā hai ab hameñ

    is tarh lā-zavāl hue rahe haiñ ham

    mahfil ye chāhtī hai ki 'jānī' na aa.eñ ab

    mahfil ke ham-ḳhayāl hue rahe haiñ ham

    ek mehwar-e-jamal hue ja rahe hain hum

    kya paikar-e-KHayal hue ja rahe hain hum

    hasil hue jo KHud ko zara waqt ke liye

    apne ko bhi muhaal hue ja rahe hain hum

    karne chale the hum teri duniya se ek sawal

    duniya pe ek sawal hue ja rahe hain hum

    har samt se zawal ne ghera hai ab hamein

    is tarh la-zawal hue ja rahe hain hum

    mahfil ye chahti hai ki 'jaani' na aaen ab

    mahfil ke ham-KHayal hue ja rahe hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now