ek mohabbat be-dili ke kaam aai
ik mohabbat be-dilī ke kaam aa.ī
be-dilī meñ phir suḳhan kī shaam aa.ī
tazkira kyūñkar kareñge ham ḳhushī kā
shā.iroñ ko jab udāsī kaam aa.ī
apne matlab kī sabhī ne baañT lī thī
baat jitnī jis kisī ke kaam aa.ī
mujh sivā sab ko pukārā naam le kar
mere hisse kī sadā be-nām aa.ī
ham mohabbat kā valī kahte haiñ us ko
jis ke hisse qurbatoñ kī shaam aa.ī
ek mohabbat be-dili ke kaam aai
be-dili mein phir suKHan ki sham aai
tazkira kyunkar karenge hum KHushi ka
shairon ko jab udasi kaam aai
apne matlab ki sabhi ne banT li thi
baat jitni jis kisi ke kaam aai
mujh siwa sab ko pukara nam le kar
mere hisse ki sada be-nam aai
hum mohabbat ka wali kahte hain us ko
jis ke hisse qurbaton ki sham aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.