ek nadi bas mujhe KHushi degi
ik nadī bas mujhe ḳhushī degī
aab degī yā tishnagī degī
zindagī kah rahī thī vo mujh ko
maut ke baa'd har ḳhushī degī
tujh ko paane kā rāsta mujh ko
tū nahīñ to tirī kamī degī
mar bhī jaa.eñ agar chale mā'lūm
vāqa'ī maut maut hī degī
zindagī ḳhaak kī tarah hai 'shams'
phuul degī to ḳhaar bhī degī
ek nadi bas mujhe KHushi degi
aab degi ya tishnagi degi
zindagi kah rahi thi wo mujh ko
maut ke ba'd har KHushi degi
tujh ko pane ka rasta mujh ko
tu nahin to teri kami degi
mar bhi jaen agar chale ma'lum
waqa'i maut maut hi degi
zindagi KHak ki tarah hai 'shams'
phul degi to KHar bhi degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.