ek nagri sabz umangon ki
ik nagrī sabz umañgoñ kī
ik zinda shahr ḳhazīnoñ kā
ik jal-thal paiham ḳhvāboñ kī
ik jagmag haar nagīnoñ kā
ik sachchī baat zamānoñ kī
ik gahrā dard zamīnoñ kā
ik kaalī raat gumānoñ kī
ik raushan pahar yaqīnoñ kā
ik qissa guzre mausam kā
ik rasta raushan zīnoñ kā
ik kasrat rishte-nātoñ kā
ik ghar sansār qarīnoñ kā
ik sabz bashārat nusrat kī
ik jalva ḳhāk-nashīnoñ kā
ik naddī sadiyoñ qarnoñ kī
ik chashma saal mahīnoñ kā
ik naam se dhuup meñ barkhā rut
ik ism tilism-jabīnoñ kā
ek nagri sabz umangon ki
ek zinda shahr KHazinon ka
ek jal-thal paiham KHwabon ki
ek jagmag haar naginon ka
ek sachchi baat zamanon ki
ek gahra dard zaminon ka
ek kali raat gumanon ki
ek raushan pahar yaqinon ka
ek qissa guzre mausam ka
ek rasta raushan zinon ka
ek kasrat rishte-naton ka
ek ghar sansar qarinon ka
ek sabz bashaarat nusrat ki
ek jalwa KHak-nashinon ka
ek naddi sadiyon qarnon ki
ek chashma sal mahinon ka
ek nam se dhup mein barkha rut
ek ism tilism-jabinon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.