ek nasha sa mujhe hua koi
ik nasha sā mujhe huā koī
aañkh un se laḌā rahā koī
kyā mire paas ab nahīñ kuchh bhī
kyoñ nahīñ kar rahā daġhā koī
ġham musībat meñ saath detā hai
kaash ho phir se hādisa koī
yaad to aap ko hī kartā huuñ
yaad aatā hai dūsrā koī
ek nasha sa mujhe hua koi
aankh un se laDa raha koi
kya mere pas ab nahin kuchh bhi
kyon nahin kar raha dagha koi
gham musibat mein sath deta hai
kash ho phir se hadisa koi
yaad to aap ko hi karta hun
yaad aata hai dusra koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.