ek nazar aar-par kar dekhen
ik nazar ār-pār kar dekheñ
ruuh ko jism utaar kar dekheñ
kaun suntā hai ḳhāmushī kī sadā
āñkhoñ se bhī pukār kar dekheñ
khel ye sīdhī nazroñ kā nahīñ dost
kyuuñ na aañkh ek maar kar dekheñ
pyaar agar de maza udāsī kā
kyuuñ na ham dil ye haar kar dekheñ
hijr ke ba.ad ek aur ye hijr
dasht meñ pyaas maar kar dekheñ
āñsuoñ meñ chhupā ho raaz koī
kyuuñ na vo dariyā paar kar dekheñ
hai koī aur aks aa.ine meñ
dhuul thoḌī utaar kar dekheñ
ho akelā udaas sach bhī kahīñ
duniyā ko darkinār kar dekheñ
shauq Takrāne kā ho tūfāñ se
zulf-e-jānāñ sañvār kar dekheñ
har shajar ko gale lagāte chal
aks-e-ḳhushbū-e-yār kar dekheñ
ho koī haal qais jaisā phir
dil kī baat āshkār kar dekheñ
ek nazar aar-par kar dekhen
ruh ko jism utar kar dekhen
kaun sunta hai KHamushi ki sada
aankhon se bhi pukar kar dekhen
khel ye sidhi nazron ka nahin dost
kyun na aankh ek mar kar dekhen
pyar agar de maza udasi ka
kyun na hum dil ye haar kar dekhen
hijr ke baad ek aur ye hijr
dasht mein pyas mar kar dekhen
aansuon mein chhupa ho raaz koi
kyun na wo dariya par kar dekhen
hai koi aur aks aaine mein
dhul thoDi utar kar dekhen
ho akela udas sach bhi kahin
duniya ko darkinar kar dekhen
shauq Takrane ka ho tufan se
zulf-e-jaanan sanwar kar dekhen
har shajar ko gale lagate chal
aks-e-KHushbu-e-yar kar dekhen
ho koi haal qais jaisa phir
dil ki baat aashkar kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.