ek nazar muD ke mujhe dekh ai jaane wale
ik nazar muḌ ke mujhe dekh ai jaane vaale
ye jo lamhe haiñ kabhī phir nahīñ aane vaale
kitnī pākīza jagah hai ki jahāñ par logoñ
ahl-e-maqtal haiñ mirī laash jalāne vaale
ġham-e-daurāñ ke masā.ib kā mudāvā kyā hai
ishq bas ishq batāte haiñ batāne vaale
yahī sab log haiñ un sab ne mirā qatl kiyā
ye mirī qabr ko phūloñ se sajāne vaale
maiñ ne ye baat bahut der se jaanī 'fahmī'
saare va.ade nahīñ hote haiñ nibhāne vaale
ek nazar muD ke mujhe dekh ai jaane wale
ye jo lamhe hain kabhi phir nahin aane wale
kitni pakiza jagah hai ki jahan par logon
ahl-e-maqtal hain meri lash jalane wale
gham-e-dauran ke masaib ka mudawa kya hai
ishq bas ishq batate hain batane wale
yahi sab log hain un sab ne mera qatl kiya
ye meri qabr ko phulon se sajaane wale
main ne ye baat bahut der se jaani 'fahmi'
sare wade nahin hote hain nibhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.