Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-KHabron ko KHabar hui

Ashfaq Amir

ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-KHabron ko KHabar hui

Ashfaq Amir

MORE BYAshfaq Amir

    ik pal meñ kyā kuchh badal gayā jab be-ḳhabroñ ko ḳhabar huī

    maiñ tanhā.ī meñ chhupā rahā jab mujh par us nazar huī

    ik chāñd chamak kar chalā gayā phir kitnī ghaḌiyāñ guzar ga.iiñ

    mujh ko to kuchh bhī ḳhabar na thī kab raat huī kab sahar huī

    thī husn chhab ik ajab adā jab phuul chehra mahak uThā

    vo manzar mujh ko jachā bahut phir umr usī meñ basar huī

    aanā bhī terā ġhazab huā is shahr manzar badal gayā

    bhauñchāl aayā galī galī har chiiz idhar se udhar huī

    ye rog lagā hai ajab hameñ jo jaan bhī le kar Talā nahīñ

    har ek davā be-asar ga.ī har ek duā be-asar huī

    ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-KHabron ko KHabar hui

    main tanhai mein chhupa raha jab mujh par us ki nazar hui

    ek chand chamak kar chala gaya phir kitni ghaDiyan guzar gain

    mujh ko to kuchh bhi KHabar na thi kab raat hui kab sahar hui

    thi husn ki chhab ek ajab ada jab phul sa chehra mahak uTha

    wo manzar mujh ko jacha bahut phir umr usi mein basar hui

    aana bhi tera ghazab hua is shahr ka manzar badal gaya

    bhaunchaal sa aaya gali gali har chiz idhar se udhar hui

    ye rog laga hai ajab hamein jo jaan bhi le kar Tala nahin

    har ek dawa be-asar gai har ek dua be-asar hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now