ek qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai
ik qabīle se haiñ lekin rañg-o-naqsha aur hai
aur hai kāñToñ kī duniyā gul kī duniyā aur hai
ishtirāk-e-fikr ho kaise hamāre darmiyāñ
terī ḳhvāhish aur hai merī tamannā aur hai
aur hī manzar hai duniyā kā sar-e-tūr-e-nazar
chashm-e-dil ke sāmne lekin tamāshā aur hai
aarzū ke bahr-o-dariyā kī kahānī kyā kahūñ
is kā sāhil aur hai is kā kinārā aur hai
dekhnā tūfān meñ ghir kar na rah jaa.e kahīñ
nāḳhudā ye ārzūoñ kā safīna aur hai
ab badalnā hī paḌegā ye tarīq-e-zindagī
ab mirī jaañ sūrat-e-hālāt-e-duniyā aur hai
dushmanoñ kā haath is meñ hai na yāroñ kā qusūr
inqitā-e-dostī kā shāḳhsāna aur hai
zindagī ke moḌ par 'shāhid' mileñ phir kis tarah
us kā rasta muḳhtalif hai merā rasta aur hai
ek qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai
aur hai kanTon ki duniya gul ki duniya aur hai
ishtirak-e-fikr ho kaise hamare darmiyan
teri KHwahish aur hai meri tamanna aur hai
aur hi manzar hai duniya ka sar-e-tur-e-nazar
chashm-e-dil ke samne lekin tamasha aur hai
aarzu ke bahr-o-dariya ki kahani kya kahun
is ka sahil aur hai is ka kinara aur hai
dekhna tufan mein ghir kar na rah jae kahin
naKHuda ye aarzuon ka safina aur hai
ab badalna hi paDega ye tariq-e-zindagi
ab meri jaan surat-e-haalat-e-duniya aur hai
dushmanon ka hath is mein hai na yaron ka qusur
inqita-e-dosti ka shaKHsana aur hai
zindagi ke moD par 'shahid' milen phir kis tarah
us ka rasta muKHtalif hai mera rasta aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.