ek qayamat ka ghaw aankhen thin
ik qayāmat kā ghaav āñkheñ thiiñ
ishq tūfāñ meñ naav āñkheñ thiiñ
rāsta dil talak to jaatā thā
us kā pahlā paḌāv āñkheñ thiiñ
ek tahzīb thā badan us kā
us pe ik rakh-rakhāv āñkheñ thiiñ
jin ko us ne charāġh samjhā thā
us ko ye to batāo āñkheñ thiiñ
dil meñ utrā vo der se lekin
merā pahlā lagāv āñkheñ thiiñ
qatra qatra jo bah ga.iiñ kal shab
aao tum dekh jaao āñkheñ thiiñ
ek qayamat ka ghaw aankhen thin
ishq tufan mein naw aankhen thin
rasta dil talak to jata tha
us ka pahla paDaw aankhen thin
ek tahzib tha badan us ka
us pe ek rakh-rakhaw aankhen thin
jin ko us ne charagh samjha tha
us ko ye to batao aankhen thin
dil mein utra wo der se lekin
mera pahla lagaw aankhen thin
qatra qatra jo bah gain kal shab
aao tum dekh jao aankhen thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.