ek qissa-e-parina ke kirdar hain hum log
ik qissa-e-pārīna ke kirdār haiñ ham log
guzrī huī tahzīb ke āsār haiñ ham log
gum-karda rivāyāt kī afsurda sī ḳhushbū
kumhlā.e hue baaġh kī mahkār haiñ ham log
aisā bhī nahīñ saare zamāne se ḳhafā haiñ
jhallā.e hue vaqt kā iz.hār haiñ ham log
ye to nahīñ kahte ki siñghāsan pe biThā do
thoḌī sī muravvat ke to haqdār haiñ ham log
jiine ke liye aur jatan kitne kareñge
ye kaise masā.il meñ giraftār haiñ ham log
ek qissa-e-parina ke kirdar hain hum log
guzri hui tahzib ke aasar hain hum log
gum-karda riwayat ki afsurda si KHushbu
kumhlae hue bagh ki mahkar hain hum log
aisa bhi nahin sare zamane se KHafa hain
jhallae hue waqt ka izhaar hain hum log
ye to nahin kahte ki singhasan pe biTha do
thoDi si murawwat ke to haqdar hain hum log
jine ke liye aur jatan kitne karenge
ye kaise masail mein giraftar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.