ek ranj ba-pairaya-e-zar kyon nahin jata
ik ranj ba-pairāya-e-zar kyoñ nahīñ jaatā
kashkol-e-havas hai to ye bhar kyoñ nahīñ jaatā
vo ā.ina-rū hai to mirā ruup dikhā.e
maiñ us ke muqābil huuñ sañvar kyoñ nahīñ jaatā
dariyā kā talātum to bahut din kī kathā hai
lekin mire andar kā bhañvar kyoñ nahīñ jaatā
kahte ho ki ho usva-e-shabbīr pe qaa.em
darbār meñ kyoñ jaate ho sar kyoñ nahīñ jaatā
jab ruuh se kahte ho ki labbaik husainā
phir jī se yazīdoñ kā ye Dar kyoñ nahīñ jaatā
tum sāhib-e-ma.anā ho to timsāl pe mat jaao
ilzām kabhī aa.ine par kyoñ nahīñ jaatā
lo shaam ga.ī raat hai kābūs hai maiñ huuñ
maiñ sub.h kā bhūlā huuñ to ghar kyoñ nahīñ jaatā
har sang-e-duā mujh ko lagā phuul se baḌh kar
jab itnī duā.eñ haiñ to mar kyoñ nahīñ jaatā
'aḳhtar' tirī guftār-e-fusūñ-kār meñ kyā hai
jo bhī idhar aatā hai udhar kyoñ nahīñ jaatā
ek ranj ba-pairaya-e-zar kyon nahin jata
kashkol-e-hawas hai to ye bhar kyon nahin jata
wo aaina-ru hai to mera rup dikhae
main us ke muqabil hun sanwar kyon nahin jata
dariya ka talatum to bahut din ki katha hai
lekin mere andar ka bhanwar kyon nahin jata
kahte ho ki ho uswa-e-shabbir pe qaem
darbar mein kyon jate ho sar kyon nahin jata
jab ruh se kahte ho ki labbaik husaina
phir ji se yazidon ka ye Dar kyon nahin jata
tum sahib-e-mana ho to timsal pe mat jao
ilzam kabhi aaine par kyon nahin jata
lo sham gai raat hai kabus hai main hun
main subh ka bhula hun to ghar kyon nahin jata
har sang-e-dua mujh ko laga phul se baDh kar
jab itni duaen hain to mar kyon nahin jata
'aKHtar' teri guftar-e-fusun-kar mein kya hai
jo bhi idhar aata hai udhar kyon nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.