ek ret ka bagula mujhko uchak raha tha
ik ret kā bagūla mujh ko uchak rahā thā
ḳhud apnī justujū thī so maiñ bhaTak rahā thā
kamre meñ ik udāsī kaisī mahak rahī thī
āñkhoñ se ek aañsū kaisā chhalak rahā thā
ye bār-e-jism āḳhir maiñ ne uThā liyā hai
a.azā chaTaḳh rahe the aur maiñ bhī thak rahā thā
mujh meñ kisī kī sūrat kyā gul khilā rahī thī
bāhar se hañs rahā thā andar sisak rahā thā
ye merī ḳhāmushī bhī le jā.egī kahāñ tak
maiñ aaj sirf us kī āvāz tak rahā thā
ek ret ka bagula mujh ko uchak raha tha
KHud apni justuju thi so main bhaTak raha tha
kamre mein ek udasi kaisi mahak rahi thi
aankhon se ek aansu kaisa chhalak raha tha
ye bar-e-jism aaKHir main ne uTha liya hai
aaza chaTaKH rahe the aur main bhi thak raha tha
mujh mein kisi ki surat kya gul khila rahi thi
bahar se hans raha tha andar sisak raha tha
ye meri KHamushi bhi le jaegi kahan tak
main aaj sirf us ki aawaz tak raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.