ek roz hue the kuchh ishaaraat KHafi se
ik roz hue the kuchh ishārāt ḳhafī se
āshiq haiñ ham us nargis-e-rānā ke jabhī se
karne ko haiñ duur aaj to tau ye rog hī jī se
ab rakkheñge ham pyaar na tum se na kisī se
ahbāb se rakhtā huuñ kuchh ummīd-e-sharāfat
rahte haiñ ḳhafā mujh se bahut log isī se
kahtā huuñ use maiñ to ḳhusūsiyyat-e-pinhāñ
kuchh tum ko shikāyat hai kasī se to mujhī se
ash.ār nahīñ haiñ ye mirī ruuh kī hai pyaas
jaarī hue sar-chashme mirī tishna-labī se
aañsū ko mire khel tamāshā na samajhnā
kaT jaatā hai patthar isī hiire kī kanī se
yād-e-lab-e-jānāñ hai charāġh-e-dil-e-ranjūr
raushan hai ye ghar aaj usī la.al-e-yamanī se
aflāk kī mehrāb hai aa.ī huī añgḌā.ī
be-kaif kuchh āfāq kī a.azā-shikanī se
kuchh zer-e-lab alfāz khanakte haiñ fazā meñ
gūñjī huī hai bazm tirī kam-suḳhanī se
aaj anjuman-e-ishq nahīñ anjuman-e-ishq
kis darja kamī bazm meñ hai terī kamī se
is vādī-e-vīrāñ meñ hai sar-chashma-e-dil bhī
hastī mirī sairāb hai āñkhoñ kī namī se
ḳhud mujh ko bhī tā-der ḳhabar ho nahīñ paa.ī
aaj aa.ī tirī yaad is āhista-ravī se
vo DhūñDhne niklī hai tirī nik.hat-e-gesū
ik roz milā thā maiñ nasīm-e-saharī se
sab kuchh vo dilā de mujhe sab kuchh vo banā de
ai dost nahīñ duur tirī kam-nigahī se
mī.ād-e-davām-o-abad ik niiñd hai us kī
ham muntahī-e-jalva-e-jānāñ haiñ abhī se
ik dil ke sivā paas hamāre nahīñ kuchh bhī
jo kaam ho le lete haiñ ham log isī se
ma.alūm huā aur hai ik ālam-e-asrār
ā.īna-e-hastī kī pareshāñ-nazarī se
is se to kahīñ baiTh rahe toḌ ke ab paaoñ
mil jaa.e najāt ishq ko is dar-ba-darī se
rahtā huuñ 'firāq' is liye vārafta ki duniyā
kuchh hosh meñ aa jaa.e mirī be-ḳhabarī se
ek roz hue the kuchh ishaaraat KHafi se
aashiq hain hum us nargis-e-rana ke jabhi se
karne ko hain dur aaj to tau ye rog hi ji se
ab rakkhenge hum pyar na tum se na kisi se
ahbab se rakhta hun kuchh ummid-e-sharafat
rahte hain KHafa mujh se bahut log isi se
kahta hun use main to KHususiyyat-e-pinhan
kuchh tum ko shikayat hai kasi se to mujhi se
ashaar nahin hain ye meri ruh ki hai pyas
jari hue sar-chashme meri tishna-labi se
aansu ko mere khel tamasha na samajhna
kaT jata hai patthar isi hire ki kani se
yaad-e-lab-e-jaanan hai charagh-e-dil-e-ranjur
raushan hai ye ghar aaj usi lal-e-yamani se
aflak ki mehrab hai aai hui angDai
be-kaif kuchh aafaq ki aaza-shikani se
kuchh zer-e-lab alfaz khanakte hain faza mein
gunji hui hai bazm teri kam-suKHani se
aaj anjuman-e-ishq nahin anjuman-e-ishq
kis darja kami bazm mein hai teri kami se
is wadi-e-viran mein hai sar-chashma-e-dil bhi
hasti meri sairab hai aankhon ki nami se
KHud mujh ko bhi ta-der KHabar ho nahin pai
aaj aai teri yaad is aahista-rawi se
wo DhunDhne nikli hai teri nikhat-e-gesu
ek roz mila tha main nasim-e-sahari se
sab kuchh wo dila de mujhe sab kuchh wo bana de
ai dost nahin dur teri kam-nigahi se
miad-e-dawam-o-abad ek nind hai us ki
hum muntahi-e-jalwa-e-jaanan hain abhi se
ek dil ke siwa pas hamare nahin kuchh bhi
jo kaam ho le lete hain hum log isi se
malum hua aur hai ek aalam-e-asrar
aaina-e-hasti ki pareshan-nazari se
is se to kahin baiTh rahe toD ke ab paon
mil jae najat ishq ko is dar-ba-dari se
rahta hun 'firaq' is liye warafta ki duniya
kuchh hosh mein aa jae meri be-KHabari se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.