ek roz ye sar-rishta-e-idrak jala dun
ik roz ye sar-rishta-e-idrāk jalā duuñ
ai ishq tirī vahshat-e-saffāk jalā duuñ
ho bas meñ jo mere to tirā naam bhī miT jaa.e
maiñ kar ke tujhe ḳhaak tirī ḳhaak jalā duuñ
siine meñ ulajhtī hai rag-e-dil se rag-e-dil
ai ishq havā de ḳhas-e-namnāk jalā duuñ
tāsīr meñ kam ho to karūñ sher ko bhī aaq
ātish meñ jo kam ho vo rag-e-tāk jalā duuñ
nazzāra koī yuuñ bhī na mahram ho ki 'kāshif'
āñkhoñ ko sar-e-jalva-e-bebāk jalā duuñ
ek roz ye sar-rishta-e-idrak jala dun
ai ishq teri wahshat-e-saffak jala dun
ho bas mein jo mere to tera nam bhi miT jae
main kar ke tujhe KHak teri KHak jala dun
sine mein ulajhti hai rag-e-dil se rag-e-dil
ai ishq hawa de KHas-e-namnak jala dun
tasir mein kam ho to karun sher ko bhi aaq
aatish mein jo kam ho wo rag-e-tak jala dun
nazzara koi yun bhi na mahram ho ki 'kashif'
aankhon ko sar-e-jalwa-e-bebak jala dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.