ek samundar sa gira tha mujh mein
ik samundar sā girā thā mujh meñ
phir bahut shor huā thā mujh meñ
rāste saare hī mānūs se the
ik faqat maiñ hī nayā thā mujh meñ
maiñ bhī tasvīr sā chaspāñ thā kahīñ
sāneha ye bhī huā thā mujh meñ
ḳhaak aur ḳhuun meñ nahlāyā huā
kab se ik shaḳhs paḌā thā mujh meñ
barf kī tah meñ laraztī huī laash
aisā manzar bhī chhupā thā mujh meñ
maiñ samajhtā thā jise jān-e-nafas
vo bahut duur khaḌā thā mujh meñ
us ne kyoñ chhoḌ diyā ḳhāna-e-dil
naqsh-e-har-lams harā thā mujh meñ
thā koī mujh meñ jo thā mujh se haqīr
aur koī mujh se baḌā thā mujh meñ
raqs karte hue tāroñ kā hujūm
ye ḳhazāna bhī gaḌā thā mujh meñ
āsmāñ ḳhauf se taktā thā mujhe
kyā koī us se baḌā thā mujh meñ
ek samundar sa gira tha mujh mein
phir bahut shor hua tha mujh mein
raste sare hi manus se the
ek faqat main hi naya tha mujh mein
main bhi taswir sa chaspan tha kahin
saneha ye bhi hua tha mujh mein
KHak aur KHun mein nahlaya hua
kab se ek shaKHs paDa tha mujh mein
barf ki tah mein larazti hui lash
aisa manzar bhi chhupa tha mujh mein
main samajhta tha jise jaan-e-nafas
wo bahut dur khaDa tha mujh mein
us ne kyon chhoD diya KHana-e-dil
naqsh-e-har-lams hara tha mujh mein
tha koi mujh mein jo tha mujh se haqir
aur koi mujh se baDa tha mujh mein
raqs karte hue taron ka hujum
ye KHazana bhi gaDa tha mujh mein
aasman KHauf se takta tha mujhe
kya koi us se baDa tha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.