ek saza aur asiron ko suna di jae
ik sazā aur asīroñ ko sunā dī jaa.e
ya.anī ab jurm-e-asīrī kī sazā dī jaa.e
dast-e-nādīda kī tahqīq zarūrī hai magar
pahle jo aag lagī hai vo bujhā dī jaa.e
us kī ḳhvāhish hai ki ab log na ro.eñ na hañseñ
be-hisī vaqt kī āvāz banā dī jaa.e
sirf sūraj kā nikalnā hai agar sub.h to phir
ek shab aur mirī shab se milā dī jaa.e
aur ik taaza sitam us ne kiyā hai ījād
us ko is baar zarā khul ke duā dī jaa.e
ek saza aur asiron ko suna di jae
yani ab jurm-e-asiri ki saza di jae
dast-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo aag lagi hai wo bujha di jae
us ki KHwahish hai ki ab log na roen na hansen
be-hisi waqt ki aawaz bana di jae
sirf suraj ka nikalna hai agar subh to phir
ek shab aur meri shab se mila di jae
aur ek taza sitam us ne kiya hai ijad
us ko is bar zara khul ke dua di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.