Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shant nadi si lagti ho

Azra Naqvi

ek shant nadi si lagti ho

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    ik shānt nadī lagtī ho

    kis ḳhāmoshī se bahtī ho

    har baar ummīdeñ bāñdhtī ho

    har baar na.e dukh sahtī ho

    apne man saarā sonā

    kyoñ bhikshā meñ de detī ho

    kis ḳhvāb aks hai āñkhoñ meñ

    kyoñ khoī khoī rahtī ho

    ik baar bhaḌak kar to dekho

    kyoñ dhīme dhīme jaltī ho

    ye kaun ruup tumhārā hai

    ye kaisī ġhazleñ kahtī ho

    ek shant nadi si lagti ho

    kis KHamoshi se bahti ho

    har bar ummiden bandhti ho

    har bar nae dukh sahti ho

    apne man ka sara sona

    kyon bhiksha mein de deti ho

    kis KHwab ka aks hai aankhon mein

    kyon khoi khoi rahti ho

    ek bar bhaDak kar to dekho

    kyon dhime dhime jalti ho

    ye kaun sa rup tumhaara hai

    ye kaisi ghazlen kahti ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now