ek shama sari raat jali teri yaad mein
ik sham.a saarī raat jalī terī yaad meñ
har samt raushnī sī rahī terī yaad meñ
merī yaqīñ na ho to sitāroñ se pūchhnā
be-ḳhvāb chāñdnī bhī rahī terī yaad meñ
duniyā meñ rah ke daur zamāne se ho ga.e
har shakl ajnabī sī lagī terī yaad meñ
dāman guloñ ne chaak kiye tere naam par
shabnam bhī ashk-bār rahī terī yaad meñ
vīrāniyoñ ke daur meñ phūloñ ke silsile
ye bhī 'ḳhalish' ne ḳhuub kahī terī yaad meñ
ek shama sari raat jali teri yaad mein
har samt raushni si rahi teri yaad mein
meri yaqin na ho to sitaron se puchhna
be-KHwab chandni bhi rahi teri yaad mein
duniya mein rah ke daur zamane se ho gae
har shakl ajnabi si lagi teri yaad mein
daman gulon ne chaak kiye tere nam par
shabnam bhi ashk-bar rahi teri yaad mein
viraniyon ke daur mein phulon ke silsile
ye bhi 'KHalish' ne KHub kahi teri yaad mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.