ek sharar-e-girafta-rang hun main
ik sharār-e-girafta-rañg huuñ maiñ
phuul se le ke tā-ba-sañg huuñ maiñ
bād-e-sarsar kī tarah garm-e-ināñ
sīna-e-reg kī umañg huuñ maiñ
zarre zarre ne kar diyā hairāñ
aur hairāniyoñ pe dañg huuñ maiñ
fat.h bhī ik shikast hī hogī
ārzūoñ se mahv-e-jañg huuñ maiñ
kaise tujh ko bahā ke le jā.ūñ
mauj-e-ham-sāya-e-nihañg huuñ maiñ
shahar-o-sahrā kī kuchh nahīñ taḳhsīs
vus.at-e-dasht-e-jāñ se tañg huuñ maiñ
kis ne dekhā fishār-e-mauja-e-jāñ
aaj tak āb-e-zer-e-sañg huuñ maiñ
ek sharar-e-girafta-rang hun main
phul se le ke ta-ba-sang hun main
baad-e-sarsar ki tarah garm-e-inan
sina-e-reg ki umang hun main
zarre zarre ne kar diya hairan
aur hairaniyon pe dang hun main
fath bhi ek shikast hi hogi
aarzuon se mahw-e-jang hun main
kaise tujh ko baha ke le jaun
mauj-e-ham-saya-e-nihang hun main
shahar-o-sahra ki kuchh nahin taKHsis
wusat-e-dasht-e-jaan se tang hun main
kis ne dekha fishaar-e-mauja-e-jaan
aaj tak aab-e-zer-e-sang hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.