ek shor hai ghar ghar meri shorida-sari ka
ik shor hai ghar ghar mirī shorīda-sarī kā
allah re asar aap kī jādū-nazarī kā
jab ġhuncha-e-dil khil ga.e raftār se terī
chalnā hameñ yaad aaya nasīm-e-saharī kā
chhuT kar bhī qafas se tire shākī nahīñ sayyād
hai yaad zamāna hameñ be-bāl-o-parī kā
uḌtī huī sunte haiñ ki sayyād ḳhafā hai
shikva na kare ab koī be-bāl-o-parī kā
yā-rab lab-e-fariyād ko de zabt kī taufīq
shākī hai bahut nāla-e-dil be-asarī kā
piirī meñ adā farz-e-ibādat ho kahāñ se
hai vaqt bahut tang namāz-e-saharī kā
ek shor hai ghar ghar meri shorida-sari ka
allah re asar aap ki jadu-nazari ka
jab ghuncha-e-dil khil gae raftar se teri
chalna hamein yaad aaya nasim-e-sahari ka
chhuT kar bhi qafas se tere shaki nahin sayyaad
hai yaad zamana hamein be-baal-o-pari ka
uDti hui sunte hain ki sayyaad KHafa hai
shikwa na kare ab koi be-baal-o-pari ka
ya-rab lab-e-fariyaad ko de zabt ki taufiq
shaki hai bahut nala-e-dil be-asari ka
piri mein ada farz-e-ibaadat ho kahan se
hai waqt bahut tang namaz-e-sahari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.