ek tair-e-KHizar kahin rasta badal gaya
ek tair-e-KHizar kahin rasta badal gaya
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
ik tā.ir-e-ḳhizar kahīñ rasta badal gayā
sahrā-e-fikr terā nasība badal gayā
milne lagī ajiib sī ta.abīr bhiik meñ
lagtā hai ḳhvāb kā koī kaasa badal gayā
iz.hār karte dil kī ḳhamoshī zarā batā
badlā hai ġham ki ġham kā mudāvā badal gayā
maiñ sāhil-e-gumāñ kī zabāñ sīkhtā magar
dariyā-e-mumkināt kā lahja badal gayā
saiqal-garī kamāl kī ik aks-e-gul ne kī
ā.īna-e-chaman kā sarāpā badal gayā
ruḳhsat milī to tohfe meñ ḳhayyāt-e-tishnagī
āsūdgī ke tan kā labāda badal gayā
lagne lagī hai phir se mujhe ajnabī zamīñ
lagtā hai phir se merā sitāra badal gayā
ek tair-e-KHizar kahin rasta badal gaya
sahra-e-fikr tera nasiba badal gaya
milne lagi ajib si tabir bhik mein
lagta hai KHwab ka koi kasa badal gaya
izhaar karte dil ki KHamoshi zara bata
badla hai gham ki gham ka mudawa badal gaya
main sahil-e-guman ki zaban sikhta magar
dariya-e-mumkinat ka lahja badal gaya
saiqal-gari kamal ki ek aks-e-gul ne ki
aaina-e-chaman ka sarapa badal gaya
ruKHsat mili to tohfe mein KHayyat-e-tishnagi
aasudgi ke tan ka labaada badal gaya
lagne lagi hai phir se mujhe ajnabi zamin
lagta hai phir se mera sitara badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.