ek tabassum hayat phulon ki
ik tabassum hayāt phūloñ kī
dekh lī kā.enāt phūloñ kī
ḳhuub roī hai raat bhar shabnam
kis ne chheḌī hai baat phūloñ kī
mahkī mahkī havāoñ ke jhoñke
saath laa.e barāt phūloñ kī
shāḳh par hoñ ki un ke juuḌe meñ
umr hai ek raat phūloñ kī
jab huī sard ātish-e-namrūd
ban ga.ī kā.enāt phūloñ kī
'shād' murjhā ga.e to gulshan meñ
kaun pūchhegā baat phūloñ kī
ek tabassum hayat phulon ki
dekh li kaenat phulon ki
KHub roi hai raat bhar shabnam
kis ne chheDi hai baat phulon ki
mahki mahki hawaon ke jhonke
sath lae baraat phulon ki
shaKH par hon ki un ke juDe mein
umr hai ek raat phulon ki
jab hui sard aatish-e-namrud
ban gai kaenat phulon ki
'shad' murjha gae to gulshan mein
kaun puchhega baat phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.