ek tahi-dast se kya kya tan-e-fani mange
ik tahī-dast se kyā kyā tan-e-fānī māñge
sāya-e-zīst meñ hai naql-e-makānī māñge
paikar-e-nāz se dil īzā-rasānī māñge
aql hairān hai ye kaisī girānī māñge
aarzū merī abhī misr ke bāzār meñ hai
ye zuleḳhā na kahīñ yūsuf-e-sānī māñge
aur kuchh mujh ko dikhā.ī na paḌe aisā nahīñ
haañ mirī aañkh faqat jalva-e-jānī māñge
āsmāñ surḳh huā garm nadī sūkhī huī
tishna mausam hai mire jism se paanī māñge
'badr' āsāñ nahīñ shā.ir kā ġhazal-ḳhvāñ honā
ye nahīñ jaadū magar jādū-bayānī māñge
ek tahi-dast se kya kya tan-e-fani mange
saya-e-zist mein hai naql-e-makani mange
paikar-e-naz se dil iza-rasani mange
aql hairan hai ye kaisi girani mange
aarzu meri abhi misr ke bazar mein hai
ye zuleKHa na kahin yusuf-e-sani mange
aur kuchh mujh ko dikhai na paDe aisa nahin
han meri aankh faqat jalwa-e-jaani mange
aasman surKH hua garm nadi sukhi hui
tishna mausam hai mere jism se pani mange
'badr' aasan nahin shair ka ghazal-KHwan hona
ye nahin jadu magar jadu-bayani mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.