ek tamasha faqat dikha raha hun
ik tamāshā faqat dikhā rahā huuñ
aa rahā huuñ kahīñ na jā rahā huuñ
jiit saktā thā maiñ anā kī jang
haar kā zahr ḳhud hī khā rahā huuñ
mujh ko dekho na yuuñ hiqārat se
maiñ bhī kuchh der nā-ḳhudā rahā huuñ
apne in āñsuoñ kī shiddat se
saarī duniyā ko maiñ hañsā rahā huuñ
darmiyāñ jo paḌā hai parda ab
sāmne se use haTā rahā huuñ
jis se bantī nahīñ ''umar-farhat'
use apnā kahāñ banā rahā huuñ
ek tamasha faqat dikha raha hun
aa raha hun kahin na ja raha hun
jit sakta tha main ana ki jang
haar ka zahr KHud hi kha raha hun
mujh ko dekho na yun hiqarat se
main bhi kuchh der na-KHuda raha hun
apne in aansuon ki shiddat se
sari duniya ko main hansa raha hun
darmiyan jo paDa hai parda ab
samne se use haTa raha hun
jis se banti nahin umar-farhat'
use apna kahan bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.