ek tamasha hum anokha dekhte
ik tamāshā ham anokhā dekhte
ḳhud ko hañstā sab ko rotā dekhte
sar se pā tak us ko puurā dekhte
ḳhud ko jab aadhā adhūrā dekhte
ḳhud tamāshā ban ga.e duniyā meñ ham
varna duniyā kā tamāshā dekhte
kyuuñ bhalā ghar lauTte ham dasht se
kyuuñ bhalā dekhā-dikhāyā dekhte
vus.ateñ miltī agar bīnā.ī ko
dasht se ghar ghar se sahrā dekhte
pusht par bauchhār tīroñ kī huī
varna ham qātil kā chehra dekhte
kaash ho jaate kisī mele meñ gum
aur phir jī bhar ke melā dekhte
ek hī thī zindagī sayyad 'sarosh'
kuchh to kar ke ulTā sīdhā dekhte
ek tamasha hum anokha dekhte
KHud ko hansta sab ko rota dekhte
sar se pa tak us ko pura dekhte
KHud ko jab aadha adhura dekhte
KHud tamasha ban gae duniya mein hum
warna duniya ka tamasha dekhte
kyun bhala ghar lauTte hum dasht se
kyun bhala dekha-dikhaya dekhte
wusaten milti agar binai ko
dasht se ghar ghar se sahra dekhte
pusht par bauchhaar tiron ki hui
warna hum qatil ka chehra dekhte
kash ho jate kisi mele mein gum
aur phir ji bhar ke mela dekhte
ek hi thi zindagi sayyad 'sarosh'
kuchh to kar ke ulTa sidha dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.