Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tamanna hai KHamoshi ke kaTahre kitne

Syed Shakeel Desnavi

ek tamanna hai KHamoshi ke kaTahre kitne

Syed Shakeel Desnavi

MORE BYSyed Shakeel Desnavi

    ik tamannā hai ḳhamoshī ke kaTahre kitne

    dil dahlīz pe ehsās ke pahre kitne

    kitne gahre haiñ ki ik umr lagī bharne meñ

    vaise lagte haiñ sabhī zaḳhm ikahre kitne

    sab ne dekhe mire hoñToñ pe tabassum ke gulāb

    kis ne dekhā hai mire zaḳhm haiñ gahre kitne

    kitne armāñ lahū in meñ basā hai 'sayyad'

    yuuñ to lagte haiñ sabhī ḳhvāb sunahre kitne

    ek tamanna hai KHamoshi ke kaTahre kitne

    dil ki dahliz pe ehsas ke pahre kitne

    kitne gahre hain ki ek umr lagi bharne mein

    waise lagte hain sabhi zaKHm ikahre kitne

    sab ne dekhe mere honTon pe tabassum ke gulab

    kis ne dekha hai mere zaKHm hain gahre kitne

    kitne arman ka lahu in mein basa hai 'sayyad'

    yun to lagte hain sabhi KHwab sunahre kitne

    Source :
    • Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 37)
    • Author : Sayed Shakeel Desnavi
    • Publication : Adshot Publications, (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now