ek tamanna ki sahar se kahin kho jati hai
ik tamannā ki sahar se kahīñ kho jaatī hai
shab ko aa kar mire āġhosh meñ so jaatī hai
ye nigāhoñ ke añdhere nahīñ chhaTne paate
sub.h kā zikr nahīñ sub.h to ho jaatī hai
rishta-e-jāñ ko sambhāle huuñ ki aksar tirī yaad
is meñ do-chār guhar aa ke piro jaatī hai
dil kī taufīq se miltā hai surāġh-e-manzil
aañkh to sirf tamāshoñ hī meñ kho jaatī hai
kab mujhe dāva-e-ismat hai magar yaad us kī
jab bhī aa jaatī hai dāman mirā dho jaatī hai
nāḳhudā chāra-e-tūfāñ kare koī varna
ab koī mauj safīne ko Dubo jaatī hai
kar chukā jashn-e-bahārāñ se maiñ tauba 'haqqī'
fasl-e-gul aa ke mirī jaan ko ro jaatī hai
ek tamanna ki sahar se kahin kho jati hai
shab ko aa kar mere aaghosh mein so jati hai
ye nigahon ke andhere nahin chhaTne pate
subh ka zikr nahin subh to ho jati hai
rishta-e-jaan ko sambhaale hun ki aksar teri yaad
is mein do-chaar guhar aa ke piro jati hai
dil ki taufiq se milta hai suragh-e-manzil
aankh to sirf tamashon hi mein kho jati hai
kab mujhe dawa-e-ismat hai magar yaad us ki
jab bhi aa jati hai daman mera dho jati hai
naKHuda chaara-e-tufan kare koi warna
ab koi mauj safine ko Dubo jati hai
kar chuka jashn-e-bahaaran se main tauba 'haqqi'
fasl-e-gul aa ke meri jaan ko ro jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.