ek tamanna mein giraftar the hum bhi tum bhi
ik tamannā meñ giraftār the ham bhī tum bhī
saarī duniyā ke gunahgār the ham bhī tum bhī
dilkashī dekh ke chaḌhte hue dariyāoñ kī
Dūbne ke liye tayyār the ham bhī tum bhī
be-sabab donoñ meñ har ek ko dilchaspī thī
aur har ek se bezār the ham bhī tum bhī
kāmyāb aise kahāñ apne muḳhālif hote
mustaqil un ke madad-gār the ham bhī tum bhī
aaj tak jiine kā ilzām liye phirte haiñ
chand sāñsoñ ke ḳhatāvār the ham bhī tum bhī
muskurāhaT meñ kabhī ġham ko chhupā hī na sake
ya.anī nākām adākār the ham bhī tum bhī
ek tamanna mein giraftar the hum bhi tum bhi
sari duniya ke gunahgar the hum bhi tum bhi
dilkashi dekh ke chaDhte hue dariyaon ki
Dubne ke liye tayyar the hum bhi tum bhi
be-sabab donon mein har ek ko dilchaspi thi
aur har ek se bezar the hum bhi tum bhi
kaamyab aise kahan apne muKHalif hote
mustaqil un ke madad-gar the hum bhi tum bhi
aaj tak jine ka ilzam liye phirte hain
chand sanson ke KHatawar the hum bhi tum bhi
muskurahaT mein kabhi gham ko chhupa hi na sake
yani nakaam adakar the hum bhi tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.