ek taraf chaak pe kuze ko ghumane ka hunar
ik taraf chaak pe kuuze ko ghumāne kā hunar
ik taraf haath pe roTī ko baḌhāne kā hunar
kabhī lahje pe ḳhafā to kabhī kirdār pe shak
tum ne sīkhā hī nahīñ ishq kamāne kā hunar
tum ne pahnā hī nahīñ merā pasandīda libās
tum ko aayā hī nahīñ paas bulāne kā hunar
us ne tasvīr ko sofe ke muqābil Tāñgā
ḳhuub aatā hai use kamra sajāne kā hunar
merī maañ ne to kahā thā ki ye kaafī hogā
tum ko aa jaa.e agar roTī banāne kā hunar
ek taraf chaak pe kuze ko ghumane ka hunar
ek taraf hath pe roTi ko baDhane ka hunar
kabhi lahje pe KHafa to kabhi kirdar pe shak
tum ne sikha hi nahin ishq kamane ka hunar
tum ne pahna hi nahin mera pasandida libas
tum ko aaya hi nahin pas bulane ka hunar
us ne taswir ko sofe ke muqabil Tanga
KHub aata hai use kamra sajaane ka hunar
meri man ne to kaha tha ki ye kafi hoga
tum ko aa jae agar roTi banane ka hunar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.