ek taraf pyar to ek samt ana rakkhi hai
ik taraf pyaar to ik samt anā rakkhī hai
husn vāloñ ne 'hasan' kaisī sazā rakkhī hai
us kī yādoñ ke gulistāñ ko harā rakhnā hai
ik nadī aañkh se ashkoñ kī bahā rakkhī hai
raushnī terī bhī vaq.at hai hamāre dam se
ham añdheroñ ne tirī shaan baḌhā rakkhī hai
mujh ko hai ilm tū rātoñ meñ kahāñ jaatā hai
āj-kal maiñ ne sitāroñ se banā rakkhī hai
ḳhūn-e-sādāt ne miTTī ko fazīlat baḳhshī
ḳhaak meñ bhī mire maulā ne shifā rakkhī hai
us kī ḳhvāhish hai añdheroñ meñ bhaTaktā hī rahūñ
maiñ diyā laayā huuñ aur us ne havā rakkhī hai
itnā qātil bhī nahīñ husn tirā hosh meñ rah
in chhichhoroñ ne to be-par kī uḌā rakkhī hai
vasl ke lamhoñ ko mahsūr kiyā hai sāhab
maiñ ne is baar ghaḌī pīchhe ghumā rakkhī hai
ḳhud maze se maiñ tumheñ soch rahā huuñ hamdam
aur bistar pe faqat niiñd sulā rakkhī hai
ek taraf pyar to ek samt ana rakkhi hai
husn walon ne 'hasan' kaisi saza rakkhi hai
us ki yaadon ke gulistan ko hara rakhna hai
ek nadi aankh se ashkon ki baha rakkhi hai
raushni teri bhi waqat hai hamare dam se
hum andheron ne teri shan baDha rakkhi hai
mujh ko hai ilm tu raaton mein kahan jata hai
aaj-kal main ne sitaron se bana rakkhi hai
KHun-e-sadat ne miTTi ko fazilat baKHshi
KHak mein bhi mere maula ne shifa rakkhi hai
us ki KHwahish hai andheron mein bhaTakta hi rahun
main diya laya hun aur us ne hawa rakkhi hai
itna qatil bhi nahin husn tera hosh mein rah
in chhichhoron ne to be-par ki uDa rakkhi hai
wasl ke lamhon ko mahsur kiya hai sahab
main ne is bar ghaDi pichhe ghuma rakkhi hai
KHud maze se main tumhein soch raha hun hamdam
aur bistar pe faqat nind sula rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.