ek tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchhaalta hai koi
ik tasalsul se ek aziyyat ko jānib-e-dil uchhāltā hai koī
ek mushkil se nīm-jāñ ho kar ḳhud ko kaise sambhāltā hai koī
bujhtī palkoñ se tāktī vahshat shukr kar ham tujhe mayassar haiñ
hameñ jo rog ho ga.e lāhiq dekh vo bhī ujāltā hai koī
imtihāñ meñ paḌe hue ye log ik ta.assuf se dekhtā hai jahāñ
haa.e aise ḳharāb hāloñ ke kahāñ shajre khañgāltā hai koī
gard-e-rāh-e-safar hī haiñ ham log ain-mumkin hai bhuul jaao hameñ
jis tarah ghar kā fāltū sāmāñ be-dilī se nikāltā hai koī
ba.ad mere bhī kitne log aa.e tum ko achchhe lage tumhāre hue
kyā kabhī chup kī sā.atoñ meñ tumheñ mirī tarah sambhāltā hai koī
ek tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchhaalta hai koi
ek mushkil se nim-jaan ho kar KHud ko kaise sambhaalta hai koi
bujhti palkon se takti wahshat shukr kar hum tujhe mayassar hain
hamein jo rog ho gae lahiq dekh wo bhi ujalta hai koi
imtihan mein paDe hue ye log ek tassuf se dekhta hai jahan
hae aise KHarab haalon ke kahan shajre khangalta hai koi
gard-e-rah-e-safar hi hain hum log ain-mumkin hai bhul jao hamein
jis tarah ghar ka faltu saman be-dili se nikalta hai koi
baad mere bhi kitne log aae tum ko achchhe lage tumhaare hue
kya kabhi chup ki saaton mein tumhein meri tarah sambhaalta hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.