ek taswir piya ki ubhri manzar se
ik tasvīr piyā kī ubhrī manzar se
bholī laḌkī jā Takrā.ī patthar se
aisī pyārī shaam meñ jī bahlāne ko
paañv nikāle jā sakte haiñ chādar se
pahle pahle 'ishq meñ aksar hotā hai
achchhe achchhe lag jaate haiñ bistar se
aise ham par us kā hijr musallat hai
jaise koī martā jaa.e cancer se
taaza karvaT par tārīḳh kī likhā hai
chand jihādī sabqat le ga.e hitler se
ek taswir piya ki ubhri manzar se
bholi laDki ja Takrai patthar se
aisi pyari sham mein ji bahlane ko
panw nikale ja sakte hain chadar se
pahle pahle 'ishq mein aksar hota hai
achchhe achchhe lag jate hain bistar se
aise hum par us ka hijr musallat hai
jaise koi marta jae cancer se
taza karwaT par tariKH ki likha hai
chand jihadi sabqat le gae hitler se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.