ek Tis ba-mushkil tham tham kar ashkon ki zaban tak pahunchi hai
ek Tis ba-mushkil tham tham kar ashkon ki zaban tak pahunchi hai
Khwaja Shauq
MORE BYKhwaja Shauq
ik Tiis ba-mushkil tham tham kar ashkoñ kī zabāñ tak pahuñchī hai
ma.alūm nahīñ barbādī-e-dil pahuñchī to kahāñ tak pahuñchī hai
be-tābī-e-ġham baḌhte baḌhte kyā zaḳhm-e-nihāñ tak pahuñchī hai
har dard nazar meñ ubhrā hai har saañs fuġhāñ tak pahuñchī hai
kitne to fareb-e-manzil meñ ehsās-e-talab tak kho baiThe
hālāñki abhī duniyā-e-nazar manzil ke nishāñ tak pahuñchī hai
kyā chāra-e-dard-e-mahrūmī aane ko hazār aa jaa.e hañsī
ye choT zarā sī choT sahī phir bhī dil-o-jāñ tak pahuñchī hai
hālāt se kuchh haT kar bhī kabhī hālāt samajhne paḌte haiñ
lekin ye matā.a-e-dūr-rasī kuchh dīda-varāñ tak pahuñchī hai
kitne hī ġhamoñ ko duniyā ne de dī hai zabāñ afsānoñ kī
barbādī-e-ahl-e-dil lekin kab sharh-o-bayāñ tak pahuñchī hai
ab tak hai fuġhān-e-nīm-shabī mahrūm-e-asar to rahne do
kyā kam hai yahī āvāz-e-shikast-e-dil to vahāñ tak pahuñchī hai
mumkin hai ki 'shauq' ab vo ḳhud bhī taskīn-e-tamannā de na sakeñ
parde meñ hañsī ke poshīda fariyād yahāñ tak pahuñchī he
ek Tis ba-mushkil tham tham kar ashkon ki zaban tak pahunchi hai
malum nahin barbaadi-e-dil pahunchi to kahan tak pahunchi hai
be-tabi-e-gham baDhte baDhte kya zaKHm-e-nihan tak pahunchi hai
har dard nazar mein ubhra hai har sans fughan tak pahunchi hai
kitne to fareb-e-manzil mein ehsas-e-talab tak kho baiThe
haalanki abhi duniya-e-nazar manzil ke nishan tak pahunchi hai
kya chaara-e-dard-e-mahrumi aane ko hazar aa jae hansi
ye choT zara si choT sahi phir bhi dil-o-jaan tak pahunchi hai
haalat se kuchh haT kar bhi kabhi haalat samajhne paDte hain
lekin ye mataa-e-dur-rasi kuchh dida-waran tak pahunchi hai
kitne hi ghamon ko duniya ne de di hai zaban afsanon ki
barbaadi-e-ahl-e-dil lekin kab sharh-o-bayan tak pahunchi hai
ab tak hai fughan-e-nim-shabi mahrum-e-asar to rahne do
kya kam hai yahi aawaz-e-shikast-e-dil to wahan tak pahunchi hai
mumkin hai ki 'shauq' ab wo KHud bhi taskin-e-tamanna de na saken
parde mein hansi ke poshida fariyaad yahan tak pahunchi he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.