ek tilismi sa wo manzar gir paDa
ik tilismī sā vo manzar gir paḌā
mere hāthoñ se samundar gir paḌā
maiñ sukūt-e-shab meñ uljhā hī rahā
ik sitāra mere andar gir paḌā
maiñ ne pūchhā jab pahāḌoñ kā mizāj
jism se mere mirā sar gir paḌā
ik sunahrī dhaat kā TukḌā milā
jis ko chhūte hī gadāgar gir paḌā
dekhne niklā thā vo ḳhud ko magar
ā.inoñ ke ghar meñ jā kar gir paḌā
ek tilismi sa wo manzar gir paDa
mere hathon se samundar gir paDa
main sukut-e-shab mein uljha hi raha
ek sitara mere andar gir paDa
main ne puchha jab pahaDon ka mizaj
jism se mere mera sar gir paDa
ek sunahri dhat ka TukDa mila
jis ko chhute hi gadagar gir paDa
dekhne nikla tha wo KHud ko magar
aainon ke ghar mein ja kar gir paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.