ek tera dard hai tanhai hai ruswai hai
ik tirā dard hai tanhā.ī hai rusvā.ī hai
tiin lafzoñ meñ mirī ziist simaT aa.ī hai
zindagī uljhe hue ḳhvāb kā ib.hām kabhī
kabhī us shoḳh kī uThtī huī añgḌā.ī hai
kitne pechīda haiñ jazbāt-e-ġhazal kyā kahiye
ḳhāma hairān idhar salb ye goyā.ī hai
ho vo phūloñ kā tabassum ki ġhazāloñ kā ḳhirām
jo adā aa.ī hai tujh meñ vo nikhar aa.ī hai
sard sī aql ke hamrāh ravāñ haiñ 'mānī'
tābish-e-ishq mayassar mayassar hī nahīñ aa.ī hai
ek tera dard hai tanhai hai ruswai hai
tin lafzon mein meri zist simaT aai hai
zindagi uljhe hue KHwab ka ibham kabhi
kabhi us shoKH ki uThti hui angDai hai
kitne pechida hain jazbaat-e-ghazal kya kahiye
KHama hairan idhar salb ye goyai hai
ho wo phulon ka tabassum ki ghazalon ka KHiram
jo ada aai hai tujh mein wo nikhar aai hai
sard si aql ke hamrah rawan hain 'mani'
tabish-e-ishq mayassar mayassar hi nahin aai hai
- Book : Khama-e-Mani (Pg. 113)
- Author : Sulaiman Ahmad Mani
- Publication : Noor Printing Agency Suiwalan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.