ek tera hijr daimi hai mujhe
ik tirā hijr dā.imī hai mujhe
varna har chiiz aarzī hai mujhe
ek saaya mire ta.āqub meñ
ek āvāz DhūñDtī hai mujhe
merī āñkhoñ pe do muqaddas haath
ye añdherā bhī raushnī hai mujhe
maiñ suḳhan meñ huuñ us jagah ki jahāñ
saañs lenā bhī shā.irī hai mujhe
in parindoñ se bolnā sīkhā
peḌ se ḳhāmushī milī hai mujhe
maiñ use kab kā bhūl-bhāl chukā
zindagī hai ki ro rahī hai mujhe
maiñ ki kāġhaz kī ek kashtī huuñ
pahlī bārish hī āḳhirī hai mujhe
ek tera hijr daimi hai mujhe
warna har chiz aarzi hai mujhe
ek saya mere taaqub mein
ek aawaz DhunDti hai mujhe
meri aankhon pe do muqaddas hath
ye andhera bhi raushni hai mujhe
main suKHan mein hun us jagah ki jahan
sans lena bhi shairi hai mujhe
in parindon se bolna sikha
peD se KHamushi mili hai mujhe
main use kab ka bhul-bhaal chuka
zindagi hai ki ro rahi hai mujhe
main ki kaghaz ki ek kashti hun
pahli barish hi aaKHiri hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.