ek tera ishq mujhko kafi hai
ik tirā 'ishq mujh ko kaafī hai
aur jo kuchh bhī hai izāfī hai
tujh se dil be-ḳhabar nahīñ rahtā
ye tire husn kā sahāfī hai
'ishq ko māntā hai dil lekin
'aql kā note iḳhtilāfī hai
'ishq merā zamāne vāloñ kī
istilāhāt ke munāfī hai
maiñ huā murtakib mohabbat kā
jurm nā-qābil-e-mu’āfī hai
kho gayā dil bhī yaar bhī na milā
ashk-e-ġhaltāñ zar-e-talāfī hai
maraz-e-'ishq hī nahīñ varna
ibn-e-mariyam kā dast shāfī hai
nuur hai dil kī raushnā.ī kā
ye jo rangīnī-e-qavāfī hai
ek tera 'ishq mujh ko kafi hai
aur jo kuchh bhi hai izafi hai
tujh se dil be-KHabar nahin rahta
ye tere husn ka sahafi hai
'ishq ko manta hai dil lekin
'aql ka note iKHtilafi hai
'ishq mera zamane walon ki
istilahat ke munafi hai
main hua murtakib mohabbat ka
jurm na-qabil-e-mu’afi hai
kho gaya dil bhi yar bhi na mila
ashk-e-ghaltan zar-e-talafi hai
maraz-e-'ishq hi nahin warna
ibn-e-mariyam ka dast shafi hai
nur hai dil ki raushnai ka
ye jo rangini-e-qawafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.