ek tere sath wafa karne ki tayyari mein
ik tire saath vafā karne kī tayyārī meñ
din guzarte rahe auroñ kī vafādārī meñ
mere hone pe hai ehsās-e-ḳhudā kī buniyād
ḳhaak kā honā zarūrī hai shajar-kārī meñ
shāḳh se shāḳh lipaTtī hai havā chalne par
sar pe chhat aam nazar aatī nahīñ yaarī meñ
kahīñ aisā na ho bulbul kī nazar bhī paḌ jaa.e
phuul ne phuul ko dekhā nahīñ hushyārī meñ
kun haTā aur faya-kun kā koī matlab na rahā
ye anā hotī hai fankār kī fankārī meñ
tujh ko tartīb lagāte hue is dhyān meñ huuñ
kaun sā dukh hai jo rakkhā nahīñ almārī meñ
ek tere sath wafa karne ki tayyari mein
din guzarte rahe auron ki wafadari mein
mere hone pe hai ehsas-e-KHuda ki buniyaad
KHak ka hona zaruri hai shajar-kari mein
shaKH se shaKH lipaTti hai hawa chalne par
sar pe chhat aam nazar aati nahin yari mein
kahin aisa na ho bulbul ki nazar bhi paD jae
phul ne phul ko dekha nahin hushyari mein
kun haTa aur faya-kun ka koi matlab na raha
ye ana hoti hai fankar ki fankari mein
tujh ko tartib lagate hue is dhyan mein hun
kaun sa dukh hai jo rakkha nahin almari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.