ek teri yaad se yaadon ke KHazane nikle
ik tirī yaad se yādoñ ke ḳhazāne nikle
zikr terā bhī bhī mohabbat ke bahāne nikle
ham ne samjhā thā ki dil hai tirā maskan lekin
jaane vāloñ ke kahīñ aur Thikāne nikle
phir mire kaan meñ gūñjī haiñ duā.eñ terī
terī āġhosh meñ ġham apne chhupāne nikle
ek ḳhushbū kī tarah gāhe-ba-gāhe aanā
kitne sundar tire kuchh ruup suhāne nikle
dil meñ kuchh TūTne lagtā hai tire zikr ke saath
chand aañsū tirī ulfat ke bahāne nikle
maiñ to ik ruup huuñ terā yahī kaafī hai 'sabā'
ab isī rañg se is dil ko sajāne nikle
ek teri yaad se yaadon ke KHazane nikle
zikr tera bhi bhi mohabbat ke bahane nikle
hum ne samjha tha ki dil hai tera maskan lekin
jaane walon ke kahin aur Thikane nikle
phir mere kan mein gunji hain duaen teri
teri aaghosh mein gham apne chhupane nikle
ek KHushbu ki tarah gahe-ba-gahe aana
kitne sundar tere kuchh rup suhane nikle
dil mein kuchh TuTne lagta hai tere zikr ke sath
chand aansu teri ulfat ke bahane nikle
main to ek rup hun tera yahi kafi hai 'saba'
ab isi rang se is dil ko sajaane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.